Awesome poetry

Awesome poetry, Urdu Shayari ,2 Line Poetry , Ghazals

Thursday, 29 April 2021

Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye

April 29, 2021 0
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye
Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye
Is qadar zabt meri jan bhi lay sakta hai
Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye
Kaar e duniya mujhe majno nahi banna lakin
Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye
Kuch madawa he nahi gham k ilawa gham ka
Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye
Doughlay pan ka hunar seekh lia hai maine
Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye


Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga

April 29, 2021 0
Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga

   Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga

Zindagi Ab Ke Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khail Dobara Hoga

Jis Ke Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi
Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga

Ye Achanak Jo Ujaala Sa Huwa Jata Hai
Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga

Ishq Karna Hai To Din Raat Usay Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga

Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga

Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sunnaton Mai
Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga

Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhunga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga


Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI
Usne Seenay Main Koi Dard Utara Ho Ga

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga


 

Din Raat Ke Aane Jaane Mein

April 29, 2021 0
Din Raat Ke Aane Jaane Mein
Din Raat Ke Aane Jaane Mein
Duniya Ke Ajayab Khane Mein
Kabhi Sheeshe Dhundle Hote Hai
Kabhi Manzar Saaf Hote Hai
Kabhi Surat Baat Nahi Karta
Kabhi Taare Aankh Badalte Hai
Kabhi Manzil Pichhe Rehti Hai
Kabhi Aasein Tod Nai Chadtein
Kabhi Khushi Puri Hoti Hai
Kabhi Aankhein Dekh Nahi Sakti
Kabhi Khawab Adhure Hote Hai
Ye Sab To Sahi Hai Lekin
Aashob Ke Manzar Khane Mein
Duniya Kya Ajayab Khane Mein,
Kuch Saya Karti Aankho Ke PaiMan To Dikhayi Dete Hai
Hathon Se Agarche Door Sahi IMkaan To Dikhayi Dete Hai
Haan Ret Ke Us Darya Ke Paar
Ek Pairon Wali Basti Ke Unwaan To Dikhayi Dete Hai
Manzil Se Koson Door Sahi
Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi
ZakhMose Musafir Choor Sahi
Par Kisse Kahein Ye Jaan-E-Wafa
Kuch Aise Ghaav Bhi Htoe Ahi Jinhe ZakhMi Aap Nahi Dhote
Bin Roye Hue Aansu Ki Tarah Seene Mein Chupa Kar Rakhte Hai
Aur Saari UMr Nai Rote
Neendein Bhi Muhaya Hoti Hai, Sapne Bhi Door Nahi Hote
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa
Ye Ahel-E-Wafa
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai
Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote


Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho

April 29, 2021 0
Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho
Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho
Kuch Chanchal Se Kuch Chup Chup Se
Kuch Pagal Pagal Lagte Ho
Hain Chahne Wale Aur Bahut
Par Tum Mein Hai Ek Baat Bahut
Tum Apne Apne Lagte Ho
Ek Baat Kahun Agar Sunte Ho
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho
Ye Baat Baat Pe Kho Jana
Kuch Kehte Kehte Ruk Jaana
Ye Kis Uljhan Mein Rehte Ho
Kya Baat Hai Hum Se Keh Dalo
Ek Baat Kahoon Agar Sunte Ho
Tum Mujhko Ache Lagte Ho